Nohay

NOHAY

Subscribe to RSS feed

Dast-e-Imamia

Ay meri Sakina

(Ai meri Sakina, meri aagosh mei soja, soja) x2
Kal khaak ka bistar hi tera hoga bichona

1 Beti se kahaa sheh ne ke aansu na bahaana,
tum poti ho zehra ki wohi sabr dikhaana,
ai laadli ye baat meri bhul najaanaa,
ham aale Mohamed hai hame deen hai bachaanaa
Ai meri Sakina, meri aagosh mei soja, soja

2 Ye hai shabe aashur ibadat mei basar ho
Tum jaan ho aur meri duaaon ka samar ho
Is waqt tumhe meri shahadat ki khabar ho
Hargiz ghamo aalaam se tum khouf nakhaana

3 Maqtal mei bikhar jaaenge qur’aan ke paare
Abbas ko neend aayegi darya ke kanaare
Kaano se laeen noch ke gauhar jo utaare
Dadi ki tarha sabr ke jo harv dikhaana

4 Jab darpaa-e-aadaar ho ye jaan ke dushman
Jab luut mei masruuf ho saamaan ke dushman
Jab sarse ridaa chin le laaeen maalike dushman
Tum chehraae zainab ke sipar khud ko banana

5 Ye baat rahe yaad ke ham aale nabi hai
Quraan ke waaris hai zamaane ke wali hai
Aale abutalib hai ham aulaade ali hai
Faryad nakarna kabhi aansu na bahaana
Ai meri Sakina, meri aagosh mei soja, soja

Dil karbala-e-nu

(Gham khwaaro dil fighaar hai,
haaye phir taaza karbala) x2
Haadi ki madad gaar hai,
phir taaza karbala
Bedaar ho bedaar hai,
phir taaza karbala
(Dil Karbala-e-Nu mei jo bedaar nahi hai,
wo shaahe shahidaan ka wafadaar nahi hai) x2

1 (Paageedao ghaafil hai lahu sard hai jiska) x2
(murdaa hai who jo haamile kirdaar nahi hai) x2
Be ruuh azaa uski ibadat haraam hai,
jiske labon pe zulm se inkaar nahi hai
Dil Karbala-e-Nu mei jo bedaar nahi hai,
who shaahe shahidaan ka wafadaar nahi hai

2 (Dilmei agar hai hubbe shahe waala kisike) x2
(deedaariyon bazaar takaza hai wafa ka) x2
jiske amal mei nusrate baatil ka ho ghuma,
qaatil hai who payaame shahe karbobala ka

3 (Paigaame karbala ka khulasaaho zindagi) x2
(Quraan ke saath haath mei talwaar chahiye) x2
shaaho ta khouf rehna jisse khouf zada tha,
har karbala ko aisa madadgaar chahiye

4 (Soze balaa mei giryao matam bhi kijiye) x2
(ye sunnate nabi hai bhari iski jazaa hai) x2
lekin sehel na lijiye soumo salaat ko,
zikre hussein asl mei imaan ki baqaa hai

5 (Peeri ki zouf ranjo musibat ki inteha) x2
(sarwar pisar ki laash ko kaise uthaaenge) x2
maula ka naa tamaam jawaani pe fughaan hai,
zainab ko khabar dete ke kaise sunaaenge

6 (Abbas tum Hussein ko tanha na chor naa) x2
(kehte hai dilawar se shahe waala ye ran mei) x2
sote ho taraai pe sakina ki khabar hai,
hogi judaa who tumse to marjaaegi ban mei

7 (Hai waqte safar jaate hai maqtal ko shaahe deen) x2
(saadaat ke khaimon mei qayamat ka samaa hai) x2
Zainab ko asiri ka magar dhur se jaane,
is kamsina ko apni yatimi ka ghumaa hai

8 (Taqleed kya hai hazrate zainab se puchiye) x2
(Jalte huwe khaimon mei imamat shanaas hai) x2
hukme sharaa ka hazrate aabid se puchna,
rizwi fakat ye azmate shariyat ka paas hai

who shaahe shahidaan ka wafadaar nahi hai) x2

Jaaye madfan

Ghurbat mei jo zainab pe musibat guzri
Aah kar deti jo dilse to qayamat hoti
Haa magar satwate shaahi ki uraa di darti
Majmaae aam mei who bain yehi karti thi
Jaae madfan naa kisi ne bhi banaaya ab tak
Bekafan hai mere maajaaye kaa laasha ab tak
(Jaae madfan naa kisi ne bhi banaaya ab tak,
Bekafan hai mere maajaaye kaa laasha ab tak) x2

1) Kaisi mehmaani thi ye raaz khuda hi jaane,
zibhaa ke waqt bhi paani na diya aada ne x2
dhup mei hai jasade sayyade waala ab tak

2) Mere akbar ko mere saamne neza maara,
apni aankhon se usse khun mei ghalta dekha x2
maine aagosh mei apni jise paala ab tak

3) Uski paamaali ke manzar ko bhulaadu kaise,
aah lakhte dile shabbar ko bhulaadu kaise x2
hai mere saamne qaasim ka sarapa ab tak

4) Ran mei paamaal huwe auno mohammed mere,
unki laashon pe bhi douraaye gaye hai gore x2
who masayab the ke phat ta hai kaleja ab tak

5) Saamne zainabe muztar ke jo aaya paani,
aah bhar kar kaha ab koun piyega paani x2
ran mei hoga aliasghar mera pyaasa ab tak

6) Shaamo kufa ke lutero ne hame luta hai,
zulm ka pehlu koi tishna nahi chora hai x2
keh raha hai yehi jalta huwa khaima ab tak

7) Zulm par aabide bimaar jo chup the farhat,
phut kar roye bohot paaon ke chaale farhat x2
beriyaan karti hai sajjad pe giryaa ab tak

Khoon deke inqalaab ki shamma jalaaenge

Khoon deke inqalaab ki shamma jalaaenge
(Joshe ghame Hussein se maqtal sajaaenge) x2

1 Parcham sada hussein ka uuncha rakhenge ham,
sarko rahe Hussein mei yuhin kataaenge,
(America ho ya koi) x2, zamaane ka ho yazid,
misle Hussein qasre yazidi ko dhaaenge

2 Maaro namaaziyon ko ya qur’aan jalaao tum,
kab tak ghare yazid ke fatwe sunaawoge,
(ham haamile hazrate) x2, aali muqaam hai,
zikre ghame Hussein ko kaise mitaaoge

3 Zulmo sitam ke baani ye sunle bagoor aaj,
hamla shiyaare deen pe aqeede ki baat hai,
(phir karbala uthegi) x2, uchalne kare yazid,
bas ik nazar Hussein ki zaalim ki maat hai

4 Laanat khuda ki unpe jo roshan khayaal hai,
ulfaat mei qaatilaane payamber ki chur hai,
(is raaili maqaam) x2, fakat unka deen hai,
muslim baraye naam hai rehmat se nur hai

5 Har noujawaano peer ko akbar ka waasta,
hai mutazir Hussein chalo karbala chale,
(tanha mera Hussein hai) x2 tashna dahaan hai,
zainab ke hai ye bain chalo karbala chale

6 Har fard kaarawaane husseini Hussein hai,
is kaarwaan mei deen se taghaful haram hai,
(haq ke liye jo mout ki) x2 gardan utaarde,
rizwi wahi jahaan mei safeeree imam hai

Sare ashur

Sare aashur saaye dhal rahe hai,
Utho sajjad khaime jal rahe hai,
Sare aashur saaye dhal rahe hai

1 Luti jaati hai aab meeraas saari,
hamari chadaron ki aayi baari,
phuphi qurbaan hojaae tumhaari
Sare aashur saaye dhal rahe hai,
Utho sajjad khaime jal rahe hai,
Sare aashur saaye dhal rahe hai

2 Tum ashke gham se aankhon ko bhi gholo,
zara ab ghash se jaago aankh kholo,
ho kis aalam mei beta kuch to bolo
Sare aashur saaye dhal rahe hai,
Utho sajjad khaime jal rahe hai,
Sare aashur saaye dhal rahe hai

3 Gharibaanon asiraa-ne balaa ki,
karib manzil hai ye bhi karbala ki,
zamin par ab ho tum hujjat khuda ki
Sare aashur saaye dhal rahe hai,
Utho sajjad khaime jal rahe hai,
Sare aashur saaye dhal rahe hai

4 Kaaeen din se hai bache bhuke pyaase,
kahaan tak dhu mei bachon ko dilaase,
ke aayega koi ab alqama se
Sare aashur saaye dhal rahe hai,
Utho sajjad khaime jal rahe hai,
Sare aashur saaye dhal rahe hai

5 Zamin par mubtala-e-ranj hai ham,
falak par qudsiyon mei shore matam,
zaminon aasmaan barham hai isdam
Sare aashur saaye dhal rahe hai,
Utho sajjad khaime jal rahe hai,
Sare aashur saaye dhal rahe hai

6 Husseini hai husseini hi rahenge,
ali wijdaan ham matam karenge,
kahenge aur basad giryaa karenge
Sare aashur saaye dhal rahe hai,
Utho sajjad khaime jal rahe hai,
Sare aashur saaye dhal rahe hai

Utho utho husseiniyo

Utho utho husseiniyo
Faatema ke dilka chain,
shaahe mashraqain,
jaane Mustafa,
deen ke zebo dar,
Aata hai dasht mei,
teero tabar ke baad,
zakhmon se chur chur,
(kehta hai baar baar) x2
(Hal min naasir yansurna) x2
Shaahe deen ki aaj bhi, aa rahi hai ye sada,
(utho utho husseiniyo, saj rahi hai karbala) x2

1 Khwaabe gaflat se nagar jaage to mit jaawoge tum,
maqsade shabbir kya hai naa samaj paaoge tum,
karbala ko har kadam apna banaao raahnuma
Utho utho husseiniyo, saj rahi hai karbala,

2 Kar rahe hai who jo hamle rouzaye shabbir par,
hai yazidiyat ke pairo-ghaar zaalim laasyaar,
zaa-iro ke khun se tar hai zamine nainava

3 Zulm se takraana sikho tum Khomeini ki tarha,
jaan do islaam par aarif husseini ki tarha,
khun se apne upat par tum bhi likho laa ilaa

4 Sunnate ehmaad pe chalna rutwae shabbir hai,
inka tarze zindagi qur’aan ki tafseer hai,
haamilaai jaisa rehbar deen isi dares milaa

5 Mout ko asghar ne dekha muskuraa kar jis gari,
thi ajal khud se khizal sharmindaa thi tashna labi,
teer jille mei chala kar kaamptaa tha hurmala

6 Jab lagi barchi ali akber ke kehte the Hussein,
aaj rukhsat hogaya dunya se mere dilka chain,
chaa gaya harsu andhera nuur aankhon ka gaya

7 Phir yazidi fikr ne islaam ki ori nakaab,
pardaye khaibat se zaahir jald hoga aaftaab,
khatm hone ko hai shaamil zulmaton ka silsila

Ya hujjatallah

Waarise do jahaan,
haadiye bekasaan,
waqte imdaad hai,
yuhin chalta rahe,
karwaane amal
Maaniye munfukaan,
maalike insojaan,
waqte imdaad hai,
yuhin chalta rahe,
karwaane amal
Ya Hujjatallah, Ya Baqiyattalah, Ya Hujjatallah,
(Ya Imame Zamaan, Al Ajal) x2

1 Ye nawha mazloom ke lab par jaari hai,
ruhe bashar par zulm ki haibat daari hai
Unwaalon ke raste mei dushwari hai,
har lab par faryaad ye aaho zaari hai,
Ya Hujjatallah, Ya Baqiyattalah,
Ya Hujjatallah, Ya Hujjatallah, Ya Hujjatallah

2 Aawo ke ab to hujjate haq ko yaad kare,
saahibe douraan se milkar faryaad kare,
aale nabi ke gham se dil aabaad kare,
zulmo wafa ehsaas se har dil kaari hai
Ye nawha mazloom ke lab par jaari hai,

3 Daawaae haq hai ghaibat par imaan nahi,
haq waalon ka jina ab aasaan nahi,
bedaari ka koi bhi ab inkaar nahi,
ab to yeh hai ruuhe amal seyaari hai

4 Hukme nabi ham hukme khuda ko bhul gaye,
aale aba ke dashte wafa ko bhul gaye,
sabro raza aur karbobala ko bhul gaye,
tabse ye aslaaq ka nawha jaari hai

5 Baaiz hai tableegh ka markaz ye mimbar,
aale nabi ke mimbar ki tatbeeb se dar,
us millat ki waidat ko taqseem na kar,
millat par ye zakhm bohot hi kaari hai

6 Nuure khuda ki sabko zarurat aaj bhi hai,
baaqi jahaan me nure imamat aaj bhi hai,
ehle wafa par aapki rehmat aaj bhi hai,
hujjate haq ki aaj talak saalaari hai

7 Khun se hai aulaade nabi ki surkh zamin,
zakhmon se nid-haal huwe hai shaahe deen,
wawaila ab akbar aur abbas nahi,
har lamha shabbir pe ran mei bhari hai

8 Maqtal mei aashur ka suraj dhub gaya,
ehle sitam ne aale nabi ko lut liya,
roti hai bechain sakina wawaila,
kaano se maasum ke khun bhi jaari hai

9 Chawda sadyon se jaari hai ye matam,
waajib hai ke farshe azaa par aankh ho nam,
ham sab ki pehchaan hai bas shabbir ka gham,
nusrate haq ki amlan ke tayyari hai

10 Who jo muhib shabbir ka matam karte hai,
shaahe khaibar geer ka matam karte hai,
shish-maahe beshir ka matam karte hai,
ham to bas shabbir ke matamdaari hai

Ya Hussein Ya Hussein Ya Hussein Ya Mazloom

Har shehr har gali mei, har gaam gunjtaa hai
Har subha gunjtaa hai, har shaam gunjtaa hai,
Mashrik se taaba maghrib, ye naam gunjtaa hai,
Ye naam gunjtaa hai, ye naam gunjtaa hai,
(Ya Hussein Ya Hussein Ya Hussein Ya Mazloom ) x2

Sino mei Karbala hai, ashkon mei Karbala hai,
dil jiska karbala hai, who saahibe azaa hai

1) Farshe azaa se dilka rishta juraa huwa hai,
neze pe jiska sar hai who apna rehnumaa hai
(Ya Hussein Ya Hussein Ya Hussein Ya Mazloom) x2

2) Ek darse zindagi hai farshe azaa hamara,
ye hai huseiniyat ka ik mustakhil sahara,
matam ki gunj mei hai paigaame haq ye saara,
khune hussein hi nee taarik ko nikhaara

3) Sar kat gaya hai lekin hai shaan faatehana,
dekha nahi kisine ye azme jaawesana,
neze pe inko aakar quraan hai sunana,
hote hai aise qaaid elaan hai zamana

4) Paigaam har sadi mei mohkam rahega iska,
kitni mukhaalifat ho ye gham rahega iska,
nawha har ek fazaa mei paiham rahega iska,
har dour mei hamesha matam rahega iska

5) Sar apna nazr karke ye legaye hai ghazi,
aise shahid hai ye jinse Khuda hai razi,
maqtal mei so raha hai abbas jaisa ghazi,
neze pe pad rahe hai quraan ye namazi

6) Paaya nahi jo paani kuch iska gham nahi hai,
jazbaa shahadaton bachon mei kam nahi hai,
aisa jari nahi hai aisa alam nahi hai,
is mout ke safar mei piche qadam nahi hai

7) Ye naam har rufat par dekho ubhar raha hai,
ashur ka who manzar dil mei utar raha hai,
isse mujahidon se maqtal nikhar raha hai,
asghar sa bezubaan bhi kya nazr kar raha hai

8) Sibte rasul hai ye zehra ka hai ye saani,
darya ke paas rehkar paaya na isne paani,
isse bichar gayi hai akbar ki noujawani,
sadyon se iske gham mei ashkon ki hai rawani

9) Ai dashte karbala ye zehra ka laadla hai,
begoro bekafan hai aur dasht mei para hai,
saara badan hai zakhmi zakhmon mei khun bhara hai,
arshe khuda bhi iske laashe per ro raha hai

10) Matam hilal iska hamse ye keh raha hai,
socho to iske gham mei insaan ki baqaa hai,
zindaa wohi hai jiski har saans karbala hai,
ashkon se ehle haq ne ye waaqea likha hai

Al madad ya rasool-e-khuda

(Ya Rasul-e-khuda, Ya Rasul-e-khuda,
Al madad Al madad, Ya Rasul-e-khuda) x2
Roza-e-Murtaza, khun me dubaa huwa,
de raha hai sada, Ya Rasul-e-khuda
Waaris-e-ambiyaa, qul ke haajat rawaan,
Al madad Al madad, Ya Rasul-e-khuda

1 Surkh khun se huwi hai najaf ki zamin,
dil mei zaalim ke khouf-e-khuda hi nahi
Momino par sitam hogaye hai sipaa
Al madad Al madad, Ya Rasul-e-khuda
Roza-e-murtaza, khun me dubaa huwa,
de raha hai sada, Ya Rasul-e-khuda
Waaris-e-ambiyaa, qul ke haajat rawaan,
Al madad Al madad, Ya Rasul-e-khuda

2 Naaz taakat par hai apni firaun ko,
sarse ai momino tum kafan baandhlo
Phirse tayyaar hai ek nayi karbala
Al madad Al madad, Ya Rasul-e-khuda
Roza-e-murtaza, khun me dubaa huwa,
de raha hai sada, Ya Rasul-e-khuda
Waaris-e-ambiyaa, qul ke haajat rawaan,
Al madad Al madad, Ya Rasul-e-khuda

3 Rang laaega ek din shahidon ka khun,
zulm hojaega har jagaa sar naguu
Chaegi har taraf nuure haq ki ziyaa
Al madad Al madad, Ya Rasul-e-khuda
Roza-e-murtaza, khun me dubaa huwa,
de raha hai sada, Ya Rasul-e-khuda
Waaris-e-ambiyaa, qul ke haajat rawaan,
Al madad Al madad, Ya Rasul-e-khuda

4 Haq ki khaatir jiyo, haq ki khatir maro,
mout bar haq hai ham, mout se mat daro
Apne khun se jalaao charaag-e-wafaa
Al madad Al madad, Ya Rasul-e-khuda
Roza-e-murtaza, khun me dubaa huwa,
de raha hai sada, Ya Rasul-e-khuda
Waaris-e-ambiyaa, qul ke haajat rawaan,
Al madad Al madad, Ya Rasul-e-khuda

5 Naa daraao hame golaa baarud se,
khelte aaye ham naar-e-namruud se
Ham khuda ke liye hai hamara khuda
Al madad Al madad, Ya Rasul-e-khuda
Roza-e-murtaza, khun me dubaa huwa,
de raha hai sada, Ya Rasul-e-khuda
Waaris-e-ambiyaa, qul ke haajat rawaan,
Al madad Al madad, Ya Rasul-e-khuda

6 Lashkare khamenaai ke peer-o-jawaan,
yaade shabbir mei sina gham nauha khwaan
Haq ki nusrat ko tayyar hai har-lamha
Al madad Al madad, Ya Rasul-e-khuda
Roza-e-murtaza, khun me dubaa huwa,
de raha hai sada, Ya Rasul-e-khuda
Waaris-e-ambiyaa, qul ke haajat rawaan,
Al madad Al madad, Ya Rasul-e-khuda

7 Beridaai pe zainab pe roti hai jo
baa ridaa pursaa dene ko aati hai jo
Un saro pe rahe taa qayamat ridaa
Al madad Al madad, Ya Rasul-e-khuda
Roza-e-murtaza, khun me dubaa huwa,
de raha hai sada, Ya Rasul-e-khuda
Waaris-e-ambiyaa, qul ke haajat rawaan,
Al madad Al madad, Ya Rasul-e-khuda

8 Woh jo qaamil husseini azadar hai,
baashala nek sirat wafadaar hai
Unke sarpe rahe saayaa-e-sayyada
Al madad Al madad, Ya Rasul-e-khuda
Roza-e-murtaza, khun me dubaa huwa,
de raha hai sada, Ya Rasul-e-khuda
Waaris-e-ambiyaa, qul ke haajat rawaan,
Al madad Al madad, Ya Rasul-e-khuda
(Ya Rasule khuda, Ya Rasule khuda,
Al madad Al madad, Ya Rasule khuda) x2

Baazar ke manzar ko

Baazar ke manzar ko,
aur apne khule sar ko bhuli nahi mai (x2)
Apne bandhe haatho ko,
bimaarke zewarko bhuli nahi mai

1 Uthti hui aandhi ko, mehshat ko bayaabako
Chupte huwe suraj ko, taariki ko maydaako
Chalte huwe khanjar ko
Neze pe tere sar ko, bhuli nahi mai

2 Ek chand tha badlime, chupta tha nikal ta tha
Parda dare khayma ka, uthta kabhi girta tha
Wo khaimaa e laila se
Haye rukhsate Akbar ko, bhuli nahi mai

3 Yaad ata hai dulhan ko, gath kis tarha aye the
Ik gathri shahe wala, jab kandho pe laye the
Is lash ki gathri ko
Us khun bhari chadar ko, bhuli nahi mai

4 Fizza ko mera bhayi, maa kehke bula ta tha,
Gham uska mere bhayi, ye naam pe jataa tha
Ik bayne jo maa ban kar
Ayi ti thi madar ko, bhuli nahi mai

5 Lehrate huwe neza, aur shimr ka wo barna
Aa aake mere peeche, har bibi ka wo chupna
Sholo me gire gharko
Chinti huwi chaader ko, bhuli nahi mai

6 Yaad ata hai ek maa ka, wo khaak me das jana
Aur aag ke sholo me, wo maa ka julas jana
Jalte huwe julese
Lipti huwi madar ko, bhuli nahi mai

7 Maasum Sakina ko, parte huwe nezo ko
Siste huwe gaalo ko, be rehme tamacho ko
Siste huwe kaano ko
Khichte huwe gauhar ko, bhuli nahi mai

8 Jis raat mai tanhaa thi, us raat ke dhalne ko
Tute huwe neze ko, us raat ke pehre ko
Bacho ke sisakne ko
Aur khaak ke bistar ko, bhuli nahi mai

9 Un sham ki galiyo ko, jin se khule sar guzre
Kis dar se guzar ne me, ye tola pehen guzre
Darbare ke us dar ko
Aur shamiyo ke shar ko, bhuli nahi mai

10 Hai aaj bhi wo giryaa, Hai aaj bhi wo zaari
Hai aaj bhi pathar ke, Sinese se lahu jaari
Rote huwe pathar ko
Pathar pe rakhe sarko, bhuli nahi mai

11 Ati hai nabi zadi, awaaz ye zainab ki
Ay mujko kasam sadyo, ay sukhe huwe lab ki
Pyaase ali asghar ko
Sukhe huwe sagar ko, bhuli nahi mai

Apne bandhe haatho ko, bimaarke zewarko, Bhuli nahi mai

SHAHID

Baba jaan

Us waqt jabke zainab darbar me gayi thi,
qari namaaziyo(n) se mehfil saji huwi thi,
Zalim ye puchhta tha ghazi tera kaha hai,
balo(n) se mu(n) chhupaye zainab ye keh rahi thi,
(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n),
sar chhupau(n) kaha) x2
majmaye aam me,
bewatan be amaa(n),
agaya karvaan
(Ay mere babajaan,
horahi hai azaa(n),
sar chhupau(n) kaha) x2

1 me bhi hu(n) marziya,
binte khayrun nisa,
mere lehje me hai,
baba teri ada
naam zainab mera,
tune jo rakhdiya,
day di apni zubaa(n)
(Ay mere babajaan,
horahi hai azaa(n),
sar chhupau(n) kaha) x2

2 babajaan me rida mangti rehgayi,
bamo dar saj gaye,
jiteji margayi,
halqaye shaam me,
naam sunkar mera,
margaya naatawa(n)
(Ay mere babajaan,
horahi hai azaa(n),
sar chhupau(n) kaha) x2

3 haath kano pe hai,
neel gaalo(n) pe hai,
aur nisha(n) jo sakina ke shaano pe hai
har nishan se yahi,
aa rahi hai sada,
babajaan babajaan
(Ay mere babajaan,
horahi hai azaa(n),
sar chhupau(n) kaha) x2

4 shaam ashur se,
shamo kufa talak,
mene manga nahi hai kharaje fadak,
meri chadar se hai,
meri maa ka suku(n),
sunle zalim jahaa(n)
(Ay mere babajaan,
horahi hai azaa(n),
sar chhupau(n) kaha) x2

5 babajaan ye tera akhri tha bayan,
teri chadar bachayega ghazi jawaa(n),
margaya bawafa,
chingayi hai rida,
kehti hai bibiya(n)
(Abbas) x9

6 ruk na paya mere bawafa ka wo sar,
noke neza se aane laga khaak par,
behn ko darbadar,
dekhkar nange sar,
seh na paya jawaa(n)
(Ay mere babajaan,
horahi hai azaa(n),
sar chhupau(n) kaha) x2

7 haath kano pe hai,
neel gaalo(n) pe hai,
aur nisha(n) jo sakina ke shaano pe hai
har nishan se yahi,
aa rahi hai sada,
babajaan babajaan
(Ay mere babajaan,
horahi hai azaa(n),
sar chhupau(n) kaha) x2

8 kal thi maa aaj me bhi hu(n) darbar me,
misle zahra khari hu(n) me aghyar me,
us taraf hai shaqi,
is taraf rehgayi,
bepadar betiya(n)
(Ay mere babajaan,
horahi hai azaa(n),
sar chhupau(n) kaha) x2

9 Aysa khutba diya mene darbar me,
Likhraha hai jo "Yawar" tere pyaar me,
Lehjaye hayderi,
har azaan ke liye,
hai sadaye aza(n)
(Ay mere babajaan,
horahi hai azaa(n),
sar chhupau(n) kaha) x2

Ghayrat ka khuda

(Ay alamdare hussain wa-abbasa) x2
Wa-abbasa, abbasa
Khayme ka parda hai utha,
wa-abbasa
Kon chala suwe dariya, abbasa
Ye kon aaraha hai,
ghayrat ka ye khuda hai,
(ghazi hai bawafa hai) x2

1 Aane ko hai qayamat,
mehsoos ho raha hai
Wo ghar se yu(n) chala hai,
dharti pe zalzala hai,
Aada ka har sipahi
ye kehke bhagta hai
Ghazi hai bawafa hai
Ye kon aaraha hai,
ghayrat ka ye khuda hai,
(ghazi hai bawafa hai) x2

2 Chehra ali ka chehra,
khushbu ali ki khushbu,
Sina ali ka sina,
bazu ali ke bazu
Jis rukh se dekhte hai,
tasveer-e-murtuza hai
Ghazi hai bawafa hai
Ye kon aaraha hai,
ghayrat ka ye khuda hai,
(ghazi hai bawafa hai) x2

3 Haa isne bachpane me,
maa se sabak ye sikha,
Shabbir ki ghulami,
sab se bara hai rutba,
Ye sher is sabak ko
dohraye jaa raha hai
Ghazi hai bawafa hai
Ye kon aaraha hai,
ghayrat ka ye khuda hai,
(ghazi hai bawafa hai) x2

4 Haider he isme azam,
har dard ki dawa hai
Quran kehraha hai,
ye naam ik dua hai
Ghazi hai naam jiska
haider ki wo dua hai
Ghazi hai bawafa hai, abbasa,
Ye kon aaraha hai,
ghayrat ka ye khuda hai,
(ghazi hai bawafa hai) x2

5 Izne vhigha nahi hai,
hasrat hai bas vhigha ki
Talwar sheh ne rakhli,
qismat hai ashkiya ki
Mashkiza bazuwo(n) ke
badle bacha raha hai
Ghazi hai bawafa hai
Ye kon aaraha hai,
ghayrat ka ye khuda hai,
(ghazi hai bawafa hai) x2

6 Tashna labi ka alam,
mojo pe gara parcham,
Kabze me leke paani,
lab ko nahi kiya nam
Dariya se pyaas bharke,
wapas jo aaraha hai
Ghazi hai bawafa hai, abbasa
Ye kon aaraha hai,
ghayrat ka ye khuda hai,
(ghazi hai bawafa hai) x2

7 Duba huwa lahu me,
parcham jo aa raha hai,
Pyaaso(n) ka farte gham se,
dil ddubne laga hai
Boli sakina tthero,
paani wo laa raha hai
Ghazi hai bawafa hai
Ye kon aaraha hai,
ghayrat ka ye khuda hai,
(ghazi hai bawafa hai) x2

8 Bazu to katt chuke hai,
mashkiza chid gaya hai
Kya ghar ko jaye ghazi,
ghayrat ka marhala hai,
Haye tashnalab ka chehra
nazro me ghumta hai
Ghazi hai bawafa hai
Ye kon aaraha hai,
ghayrat ka ye khuda hai,
(ghazi hai bawafa hai) x2

9 "Rehan" gham se ttuti,
shabbir ki kamar hai,
Abbase bawafa ka,
duniya se ab safar hai,
Lekin lahu se apne,
wo likh ke jaa raha hai
Ghazi hai bawafa hai,
abbasa, abbasa

Dast-e-Imamia

Ay meri Sakina

(Ai meri Sakina, meri aagosh mei soja, soja) x2
Kal khaak ka bistar hi tera hoga bichona
(Ai meri Sakina, meri aagosh mei soja, soja) x2

1 Beti se kahaa sheh ne ke aansu na bahaana,
tum poti ho zehra ki wohi sabr dikhaana,
ai laadli ye baat meri bhul najaanaa,
ham aale Mohamed hai hame deen hai bachaanaa
Ai meri Sakina, meri aagosh mei soja, soja

2 Ye hai shabe aashur ibadat mei basar ho
Tum jaan ho aur meri duaaon ka samar ho
Is waqt tumhe meri shahadat ki khabar ho
Hargiz ghamo aalaam se tum khouf nakhaana
Ai meri Sakina, meri aagosh mei soja, soja

3 Maqtal mei bikhar jaaenge qur’aan ke paare
Abbas ko neend aayegi darya ke kanaare
Kaano se laeen noch ke gauhar jo utaare
Dadi ki tarha sabr ke jo harv dikhaana
Ai meri Sakina, meri aagosh mei soja, soja

4 Jab darpaa-e-aadaar ho ye jaan ke dushman
Jab luut mei masruuf ho saamaan ke dushman
Jab sarse ridaa chin le laaeen maalike dushman
Tum chehraae zainab ke sipar khud ko banana

5 Ai meri Sakina, meri aagosh mei soja, soja
Ye baat rahe yaad ke ham aale nabi hai
Quraan ke waaris hai zamaane ke wali hai
Aale abutalib hai ham aulaade ali hai
Faryad nakarna kabhi aansu na bahaana
Ai meri Sakina, meri aagosh mei soja, soja
Khoon deke inqalaab

Dil karbala-e-nu

(Gham khwaaro dil fighaar hai,
haaye phir taaza karbala) x2
Haadi ki madad gaar hai,
phir taaza karbala
Bedaar ho bedaar hai,
phir taaza karbala
(Dil Karbala-e-Nu mei jo bedaar nahi hai,
wo shaahe shahidaan ka wafadaar nahi hai) x2

1 (Paageedao ghaafil hai lahu sard hai jiska) x2
(murdaa hai who jo haamile kirdaar nahi hai) x2
Be ruuh azaa uski ibadat haraam hai,
jiske labon pe zulm se inkaar nahi hai
Dil Karbala-e-Nu mei jo bedaar nahi hai,
who shaahe shahidaan ka wafadaar nahi hai

2 (Dilmei agar hai hubbe shahe waala kisike) x2
(deedaariyon bazaar takaza hai wafa ka) x2
jiske amal mei nusrate baatil ka ho ghuma,
qaatil hai who payaame shahe karbobala ka
Dil Karbala-e-Nu mei jo bedaar nahi hai,
who shaahe shahidaan ka wafadaar nahi hai

3 (Paigaame karbala ka khulasaaho zindagi) x2
(Quraan ke saath haath mei talwaar chahiye) x2
shaaho ta khouf rehna jisse khouf zada tha,
har karbala ko aisa madadgaar chahiye
Dil Karbala-e-Nu mei jo bedaar nahi hai,
who shaahe shahidaan ka wafadaar nahi hai

4 (Soze balaa mei giryao matam bhi kijiye) x2
(ye sunnate nabi hai bhari iski jazaa hai) x2
lekin sehel na lijiye soumo salaat ko,
zikre hussein asl mei imaan ki baqaa hai
Dil Karbala-e-Nu mei jo bedaar nahi hai,
who shaahe shahidaan ka wafadaar nahi hai

5 (Peeri ki zouf ranjo musibat ki inteha) x2
(sarwar pisar ki laash ko kaise uthaaenge) x2
maula ka naa tamaam jawaani pe fughaan hai,
zainab ko khabar dete ke kaise sunaaenge
Dil Karbala-e-Nu mei jo bedaar nahi hai,
who shaahe shahidaan ka wafadaar nahi hai

6 (Abbas tum Hussein ko tanha na chor naa) x2
(kehte hai dilawar se shahe waala ye ran mei) x2
sote ho taraai pe sakina ki khabar hai,
hogi judaa who tumse to marjaaegi ban mei
Dil Karbala-e-Nu mei jo bedaar nahi hai,
who shaahe shahidaan ka wafadaar nahi hai

7 (Hai waqte safar jaate hai maqtal ko shaahe deen) x2
(saadaat ke khaimon mei qayamat ka samaa hai) x2
Zainab ko asiri ka magar dhur se jaane,
is kamsina ko apni yatimi ka ghumaa hai
Dil Karbala-e-Nu mei jo bedaar nahi hai,
who shaahe shahidaan ka wafadaar nahi hai

8 (Taqleed kya hai hazrate zainab se puchiye) x2
(Jalte huwe khaimon mei imamat shanaas hai) x2
hukme sharaa ka hazrate aabid se puchna,
rizwi fakat ye azmate shariyat ka paas hai
(Dil Karbala-e-Nu mei jo bedaar nahi hai,
who shaahe shahidaan ka wafadaar nahi hai) x2

Jaaye madfan

Ghurbat mei jo zainab pe musibat guzri
Aah kar deti jo dilse to qayamat hoti
Haa magar satwate shaahi ki uraa di darti
Majmaae aam mei who bain yehi karti thi
Jaae madfan naa kisi ne bhi banaaya ab tak
Bekafan hai mere maajaaye kaa laasha ab tak
(Jaae madfan naa kisi ne bhi banaaya ab tak,
Bekafan hai mere maajaaye kaa laasha ab tak) x2

1) Kaisi mehmaani thi ye raaz khuda hi jaane,
zibhaa ke waqt bhi paani na diya aada ne x2
dhup mei hai jasade sayyade waala ab tak
(Jaae madfan naa kisi ne bhi banaaya ab tak,
Bekafan hai mere maajaaye kaa laasha ab tak) x2

2) Mere akbar ko mere saamne neza maara,
apni aankhon se usse khun mei ghalta dekha x2
maine aagosh mei apni jise paala ab tak
(Jaae madfan naa kisi ne bhi banaaya ab tak,
Bekafan hai mere maajaaye kaa laasha ab tak) x2

3) Uski paamaali ke manzar ko bhulaadu kaise,
aah lakhte dile shabbar ko bhulaadu kaise x2
hai mere saamne qaasim ka sarapa ab tak
(Jaae madfan naa kisi ne bhi banaaya ab tak,
Bekafan hai mere maajaaye kaa laasha ab tak) x2

4) Ran mei paamaal huwe auno mohammed mere,
unki laashon pe bhi douraaye gaye hai gore x2
who masayab the ke phat ta hai kaleja ab tak
(Jaae madfan naa kisi ne bhi banaaya ab tak,
Bekafan hai mere maajaaye kaa laasha ab tak) x2

5) Saamne zainabe muztar ke jo aaya paani,
aah bhar kar kaha ab koun piyega paani x2
ran mei hoga aliasghar mera pyaasa ab tak
(Jaae madfan naa kisi ne bhi banaaya ab tak,
Bekafan hai mere maajaaye kaa laasha ab tak) x2

6) Shaamo kufa ke lutero ne hame luta hai,
zulm ka pehlu koi tishna nahi chora hai x2
keh raha hai yehi jalta huwa khaima ab tak
(Jaae madfan naa kisi ne bhi banaaya ab tak,
Bekafan hai mere maajaaye kaa laasha ab tak) x2

7) Zulm par aabide bimaar jo chup the farhat,
phut kar roye bohot paaon ke chaale farhat x2
beriyaan karti hai sajjad pe giryaa ab tak
(Jaae madfan naa kisi ne bhi banaaya ab tak,
Bekafan hai mere maajaaye kaa laasha ab tak) x2

Khoon deke inqalaab ki shamma jalaaenge

Khoon deke inqalaab ki shamma jalaaenge
(Joshe ghame Hussein se maqtal sajaaenge) x2

1 Parcham sada hussein ka uuncha rakhenge ham,
sarko rahe Hussein mei yuhin kataaenge,
(America ho ya koi) x2, zamaane ka ho yazid,
misle Hussein qasre yazidi ko dhaaenge
Khoon deke inqalaab ki shamma jalaaenge
(Joshe ghame Hussein se maqtal sajaaenge) x2

2 Maaro namaaziyon ko ya qur’aan jalaao tum,
kab tak ghare yazid ke fatwe sunaawoge,
(ham haamile hazrate) x2, aali muqaam hai,
zikre ghame Hussein ko kaise mitaaoge
Khoon deke inqalaab ki shamma jalaaenge
(Joshe ghame Hussein se maqtal sajaaenge) x2

3 Zulmo sitam ke baani ye sunle bagoor aaj,
hamla shiyaare deen pe aqeede ki baat hai,
(phir karbala uthegi) x2, uchalne kare yazid,
bas ik nazar Hussein ki zaalim ki maat hai
Khoon deke inqalaab ki shamma jalaaenge
(Joshe ghame Hussein se maqtal sajaaenge) x2

4 Laanat khuda ki unpe jo roshan khayaal hai,
ulfaat mei qaatilaane payamber ki chur hai,
(is raaili maqaam) x2, fakat unka deen hai,
muslim baraye naam hai rehmat se nur hai
Khoon deke inqalaab ki shamma jalaaenge
(Joshe ghame Hussein se maqtal sajaaenge) x2

5 Har noujawaano peer ko akbar ka waasta,
hai mutazir Hussein chalo karbala chale,
(tanha mera Hussein hai) x2 tashna dahaan hai,
zainab ke hai ye bain chalo karbala chale
Khoon deke inqalaab ki shamma jalaaenge
(Joshe ghame Hussein se maqtal sajaaenge) x2

6 Har fard kaarawaane husseini Hussein hai,
is kaarwaan mei deen se taghaful haram hai,
(haq ke liye jo mout ki) x2 gardan utaarde,
rizwi wahi jahaan mei safeeree imam hai
Khoon deke inqalaab ki shamma jalaaenge
(Joshe ghame Hussein se maqtal sajaaenge) x2

Sare ashur

Sare aashur saaye dhal rahe hai,
Utho sajjad khaime jal rahe hai,
Sare aashur saaye dhal rahe hai

1 Luti jaati hai aab meeraas saari,
hamari chadaron ki aayi baari,
phuphi qurbaan hojaae tumhaari
Sare aashur saaye dhal rahe hai,
Utho sajjad khaime jal rahe hai,
Sare aashur saaye dhal rahe hai

2 Tum ashke gham se aankhon ko bhi gholo,
zara ab ghash se jaago aankh kholo,
ho kis aalam mei beta kuch to bolo
Sare aashur saaye dhal rahe hai,
Utho sajjad khaime jal rahe hai,
Sare aashur saaye dhal rahe hai

3 Gharibaanon asiraa-ne balaa ki,
karib manzil hai ye bhi karbala ki,
zamin par ab ho tum hujjat khuda ki
Sare aashur saaye dhal rahe hai,
Utho sajjad khaime jal rahe hai,
Sare aashur saaye dhal rahe hai

4 Kaaeen din se hai bache bhuke pyaase,
kahaan tak dhu mei bachon ko dilaase,
ke aayega koi ab alqama se
Sare aashur saaye dhal rahe hai,
Utho sajjad khaime jal rahe hai,
Sare aashur saaye dhal rahe hai

5 Zamin par mubtala-e-ranj hai ham,
falak par qudsiyon mei shore matam,
zaminon aasmaan barham hai isdam
Sare aashur saaye dhal rahe hai,
Utho sajjad khaime jal rahe hai,
Sare aashur saaye dhal rahe hai

6 Husseini hai husseini hi rahenge,
ali wijdaan ham matam karenge,
kahenge aur basad giryaa karenge
Sare aashur saaye dhal rahe hai,
Utho sajjad khaime jal rahe hai,
Sare aashur saaye dhal rahe hai

Utho utho husseiniyo

Utho utho husseiniyo
Faatema ke dilka chain,
shaahe mashraqain,
jaane Mustafa,
deen ke zebo dar,
Aata hai dasht mei,
teero tabar ke baad,
zakhmon se chur chur,
(kehta hai baar baar) x2
(Hal min naasir yansurna) x2
Shaahe deen ki aaj bhi, aa rahi hai ye sada,
(utho utho husseiniyo, saj rahi hai karbala) x2

1 Khwaabe gaflat se nagar jaage to mit jaawoge tum,
maqsade shabbir kya hai naa samaj paaoge tum,
karbala ko har kadam apna banaao raahnuma
Utho utho husseiniyo, saj rahi hai karbala,
Shaahe deen ki aaj bhi, aa rahi hai ye sada,
(utho utho husseiniyo, saj rahi hai karbala) x2

2 Kar rahe hai who jo hamle rouzaye shabbir par,
hai yazidiyat ke pairo-ghaar zaalim laasyaar,
zaa-iro ke khun se tar hai zamine nainava
Utho utho husseiniyo, saj rahi hai karbala,
Shaahe deen ki aaj bhi, aa rahi hai ye sada,
(utho utho husseiniyo, saj rahi hai karbala) x2

3 Zulm se takraana sikho tum Khomeini ki tarha,
jaan do islaam par aarif husseini ki tarha,
khun se apne upat par tum bhi likho laa ilaa
Utho utho husseiniyo, saj rahi hai karbala,
Shaahe deen ki aaj bhi, aa rahi hai ye sada,
(utho utho husseiniyo, saj rahi hai karbala) x2

4 Sunnate ehmaad pe chalna rutwae shabbir hai,
inka tarze zindagi qur’aan ki tafseer hai,
haamilaai jaisa rehbar deen isi dares milaa
Utho utho husseiniyo, saj rahi hai karbala,
Shaahe deen ki aaj bhi, aa rahi hai ye sada,
(utho utho husseiniyo, saj rahi hai karbala) x2

5 Mout ko asghar ne dekha muskuraa kar jis gari,
thi ajal khud se khizal sharmindaa thi tashna labi,
teer jille mei chala kar kaamptaa tha hurmala
Utho utho husseiniyo, saj rahi hai karbala,
Shaahe deen ki aaj bhi, aa rahi hai ye sada,
(utho utho husseiniyo, saj rahi hai karbala) x2

6 Jab lagi barchi ali akber ke kehte the Hussein,
aaj rukhsat hogaya dunya se mere dilka chain,
chaa gaya harsu andhera nuur aankhon ka gaya
Utho utho husseiniyo, saj rahi hai karbala,
Shaahe deen ki aaj bhi, aa rahi hai ye sada,
(utho utho husseiniyo, saj rahi hai karbala) x2

7 Phir yazidi fikr ne islaam ki ori nakaab,
pardaye khaibat se zaahir jald hoga aaftaab,
khatm hone ko hai shaamil zulmaton ka silsila
Utho utho husseiniyo, saj rahi hai karbala,
Shaahe deen ki aaj bhi, aa rahi hai ye sada,
(utho utho husseiniyo, saj rahi hai karbala) x2

Ya hujjatallah

Waarise do jahaan,
haadiye bekasaan,
waqte imdaad hai,
yuhin chalta rahe,
karwaane amal
Maaniye munfukaan,
maalike insojaan,
waqte imdaad hai,
yuhin chalta rahe,
karwaane amal
Ya Hujjatallah, Ya Baqiyattalah, Ya Hujjatallah,
(Ya Imame Zamaan, Al Ajal) x2

1 Ye nawha mazloom ke lab par jaari hai,
ruhe bashar par zulm ki haibat daari hai
Unwaalon ke raste mei dushwari hai,
har lab par faryaad ye aaho zaari hai,
Ya Hujjatallah, Ya Baqiyattalah,
Ya Hujjatallah, Ya Hujjatallah, Ya Hujjatallah

2 Aawo ke ab to hujjate haq ko yaad kare,
saahibe douraan se milkar faryaad kare,
aale nabi ke gham se dil aabaad kare,
zulmo wafa ehsaas se har dil kaari hai
Ye nawha mazloom ke lab par jaari hai,
ruhe bashar par zulm ki haibat daari hai
Unwaalon ke raste mei dushwari hai,
har lab par faryaad ye aaho zaari hai,
Ya Hujjatallah, Ya Baqiyattalah,
Ya Hujjatallah, Ya Hujjatallah, Ya Hujjatallah

3 Daawaae haq hai ghaibat par imaan nahi,
haq waalon ka jina ab aasaan nahi,
bedaari ka koi bhi ab inkaar nahi,
ab to yeh hai ruuhe amal seyaari hai
Ye nawha mazloom ke lab par jaari hai,
ruhe bashar par zulm ki haibat daari hai
Unwaalon ke raste mei dushwari hai,
har lab par faryaad ye aaho zaari hai,
Ya Hujjatallah, Ya Baqiyattalah,
Ya Hujjatallah, Ya Hujjatallah, Ya Hujjatallah

4 Hukme nabi ham hukme khuda ko bhul gaye,
aale aba ke dashte wafa ko bhul gaye,
sabro raza aur karbobala ko bhul gaye,
tabse ye aslaaq ka nawha jaari hai
Ye nawha mazloom ke lab par jaari hai,
ruhe bashar par zulm ki haibat daari hai
Unwaalon ke raste mei dushwari hai,
har lab par faryaad ye aaho zaari hai,
Ya Hujjatallah, Ya Baqiyattalah,
Ya Hujjatallah, Ya Hujjatallah, Ya Hujjatallah

5 Baaiz hai tableegh ka markaz ye mimbar,
aale nabi ke mimbar ki tatbeeb se dar,
us millat ki waidat ko taqseem na kar,
millat par ye zakhm bohot hi kaari hai
Ye nawha mazloom ke lab par jaari hai,
ruhe bashar par zulm ki haibat daari hai
Unwaalon ke raste mei dushwari hai,
har lab par faryaad ye aaho zaari hai,
Ya Hujjatallah, Ya Baqiyattalah,
Ya Hujjatallah, Ya Hujjatallah, Ya Hujjatallah

6 Nuure khuda ki sabko zarurat aaj bhi hai,
baaqi jahaan me nure imamat aaj bhi hai,
ehle wafa par aapki rehmat aaj bhi hai,
hujjate haq ki aaj talak saalaari hai
Ye nawha mazloom ke lab par jaari hai,
ruhe bashar par zulm ki haibat daari hai
Unwaalon ke raste mei dushwari hai,
har lab par faryaad ye aaho zaari hai,
Ya Hujjatallah, Ya Baqiyattalah,
Ya Hujjatallah, Ya Hujjatallah, Ya Hujjatallah

7 Khun se hai aulaade nabi ki surkh zamin,
zakhmon se nid-haal huwe hai shaahe deen,
wawaila ab akbar aur abbas nahi,
har lamha shabbir pe ran mei bhari hai
Ye nawha mazloom ke lab par jaari hai,
ruhe bashar par zulm ki haibat daari hai
Unwaalon ke raste mei dushwari hai,
har lab par faryaad ye aaho zaari hai,
Ya Hujjatallah, Ya Baqiyattalah,
Ya Hujjatallah, Ya Hujjatallah, Ya Hujjatallah

8 Maqtal mei aashur ka suraj dhub gaya,
ehle sitam ne aale nabi ko lut liya,
roti hai bechain sakina wawaila,
kaano se maasum ke khun bhi jaari hai
Ye nawha mazloom ke lab par jaari hai,
ruhe bashar par zulm ki haibat daari hai
Unwaalon ke raste mei dushwari hai,
har lab par faryaad ye aaho zaari hai,
Ya Hujjatallah, Ya Baqiyattalah,
Ya Hujjatallah, Ya Hujjatallah, Ya Hujjatallah

9 Chawda sadyon se jaari hai ye matam,
waajib hai ke farshe azaa par aankh ho nam,
ham sab ki pehchaan hai bas shabbir ka gham,
nusrate haq ki amlan ke tayyari hai
Ye nawha mazloom ke lab par jaari hai,
ruhe bashar par zulm ki haibat daari hai
Unwaalon ke raste mei dushwari hai,
har lab par faryaad ye aaho zaari hai,
Ya Hujjatallah, Ya Baqiyattalah,
Ya Hujjatallah, Ya Hujjatallah, Ya Hujjatallah

10 Who jo muhib shabbir ka matam karte hai,
shaahe khaibar geer ka matam karte hai,
shish-maahe beshir ka matam karte hai,
ham to bas shabbir ke matamdaari hai
Ye nawha mazloom ke lab par jaari hai,
ruhe bashar par zulm ki haibat daari hai
Unwaalon ke raste mei dushwari hai,
har lab par faryaad ye aaho zaari hai,
Ya Hujjatallah, Ya Baqiyattalah,
Ya Hujjatallah, Ya Hujjatallah, Ya Hujjatallah

Ya Hussein Ya Hussein Ya Hussein Ya Mazloom

Har shehr har gali mei, har gaam gunjtaa hai
Har subha gunjtaa hai, har shaam gunjtaa hai,
Mashrik se taaba maghrib, ye naam gunjtaa hai,
Ye naam gunjtaa hai, ye naam gunjtaa hai,
(Ya Hussein Ya Hussein Ya Hussein Ya Mazloom ) x2

Sino mei Karbala hai, ashkon mei Karbala hai,
dil jiska karbala hai, who saahibe azaa hai
(Ya Hussein Ya Hussein Ya Hussein Ya Mazloom ) x2

1) Farshe azaa se dilka rishta juraa huwa hai,
neze pe jiska sar hai who apna rehnumaa hai
(Ya Hussein Ya Hussein Ya Hussein Ya Mazloom) x2

2) Ek darse zindagi hai farshe azaa hamara,
ye hai huseiniyat ka ik mustakhil sahara,
matam ki gunj mei hai paigaame haq ye saara,
khune hussein hi nee taarik ko nikhaara
Sino mei Karbala hai, ashkon mei Karbala hai,
dil jiska karbala hai, who saahibe azaa hai
(Ya Hussein Ya Hussein Ya Hussein Ya Mazloom ) x2

3) Sar kat gaya hai lekin hai shaan faatehana,
dekha nahi kisine ye azme jaawesana,
neze pe inko aakar quraan hai sunana,
hote hai aise qaaid elaan hai zamana
Sino mei Karbala hai, ashkon mei Karbala hai,
dil jiska karbala hai, who saahibe azaa hai
(Ya Hussein Ya Hussein Ya Hussein Ya Mazloom) x2

4) Paigaam har sadi mei mohkam rahega iska,
kitni mukhaalifat ho ye gham rahega iska,
nawha har ek fazaa mei paiham rahega iska,
har dour mei hamesha matam rahega iska
Sino mei Karbala hai, ashkon mei Karbala hai,
dil jiska karbala hai, who saahibe azaa hai
(Ya Hussein Ya Hussein Ya Hussein Ya Mazloom) x2

5) Sar apna nazr karke ye legaye hai ghazi,
aise shahid hai ye jinse Khuda hai razi,
maqtal mei so raha hai abbas jaisa ghazi,
neze pe pad rahe hai quraan ye namazi
Sino mei Karbala hai, ashkon mei Karbala hai,
dil jiska karbala hai, who saahibe azaa hai
(Ya Hussein Ya Hussein Ya Hussein Ya Mazloom) x2

6) Paaya nahi jo paani kuch iska gham nahi hai,
jazbaa shahadaton bachon mei kam nahi hai,
aisa jari nahi hai aisa alam nahi hai,
is mout ke safar mei piche qadam nahi hai
Sino mei Karbala hai, ashkon mei Karbala hai,
dil jiska karbala hai, who saahibe azaa hai
(Ya Hussein Ya Hussein Ya Hussein Ya Mazloom) x2

7) Ye naam har rufat par dekho ubhar raha hai,
ashur ka who manzar dil mei utar raha hai,
isse mujahidon se maqtal nikhar raha hai,
asghar sa bezubaan bhi kya nazr kar raha hai
Sino mei Karbala hai, ashkon mei Karbala hai,
dil jiska karbala hai, who saahibe azaa hai
(Ya Hussein Ya Hussein Ya Hussein Ya Mazloom) x2

8) Sibte rasul hai ye zehra ka hai ye saani,
darya ke paas rehkar paaya na isne paani,
isse bichar gayi hai akbar ki noujawani,
sadyon se iske gham mei ashkon ki hai rawani
Sino mei Karbala hai, ashkon mei Karbala hai,
dil jiska karbala hai, who saahibe azaa hai
(Ya Hussein Ya Hussein Ya Hussein Ya Mazloom) x2

9) Ai dashte karbala ye zehra ka laadla hai,
begoro bekafan hai aur dasht mei para hai,
saara badan hai zakhmi zakhmon mei khun bhara hai,
arshe khuda bhi iske laashe per ro raha hai
Sino mei Karbala hai, ashkon mei Karbala hai,
dil jiska karbala hai, who saahibe azaa hai
(Ya Hussein Ya Hussein Ya Hussein Ya Mazloom) x2

10) Matam hilal iska hamse ye keh raha hai,
socho to iske gham mei insaan ki baqaa hai,
zindaa wohi hai jiski har saans karbala hai,
ashkon se ehle haq ne ye waaqea likha hai
Sino mei Karbala hai, ashkon mei Karbala hai,
dil jiska karbala hai, who saahibe azaa hai
(Ya Hussein Ya Hussein Ya Hussein Ya Mazloom) x2

Al madad ya rasool-e-khuda

(Ya Rasul-e-khuda, Ya Rasul-e-khuda,
Al madad Al madad, Ya Rasul-e-khuda) x2
Roza-e-Murtaza, khun me dubaa huwa,
de raha hai sada, Ya Rasul-e-khuda
Waaris-e-ambiyaa, qul ke haajat rawaan,
Al madad Al madad, Ya Rasul-e-khuda

1 Surkh khun se huwi hai najaf ki zamin,
dil mei zaalim ke khouf-e-khuda hi nahi
Momino par sitam hogaye hai sipaa
Al madad Al madad, Ya Rasul-e-khuda
Roza-e-murtaza, khun me dubaa huwa,
de raha hai sada, Ya Rasul-e-khuda
Waaris-e-ambiyaa, qul ke haajat rawaan,
Al madad Al madad, Ya Rasul-e-khuda

2 Naaz taakat par hai apni firaun ko,
sarse ai momino tum kafan baandhlo
Phirse tayyaar hai ek nayi karbala
Al madad Al madad, Ya Rasul-e-khuda
Roza-e-murtaza, khun me dubaa huwa,
de raha hai sada, Ya Rasul-e-khuda
Waaris-e-ambiyaa, qul ke haajat rawaan,
Al madad Al madad, Ya Rasul-e-khuda

3 Rang laaega ek din shahidon ka khun,
zulm hojaega har jagaa sar naguu
Chaegi har taraf nuure haq ki ziyaa
Al madad Al madad, Ya Rasul-e-khuda
Roza-e-murtaza, khun me dubaa huwa,
de raha hai sada, Ya Rasul-e-khuda
Waaris-e-ambiyaa, qul ke haajat rawaan,
Al madad Al madad, Ya Rasul-e-khuda

4 Haq ki khaatir jiyo, haq ki khatir maro,
mout bar haq hai ham, mout se mat daro
Apne khun se jalaao charaag-e-wafaa
Al madad Al madad, Ya Rasul-e-khuda
Roza-e-murtaza, khun me dubaa huwa,
de raha hai sada, Ya Rasul-e-khuda
Waaris-e-ambiyaa, qul ke haajat rawaan,
Al madad Al madad, Ya Rasul-e-khuda

5 Naa daraao hame golaa baarud se,
khelte aaye ham naar-e-namruud se
Ham khuda ke liye hai hamara khuda
Al madad Al madad, Ya Rasul-e-khuda
Roza-e-murtaza, khun me dubaa huwa,
de raha hai sada, Ya Rasul-e-khuda
Waaris-e-ambiyaa, qul ke haajat rawaan,
Al madad Al madad, Ya Rasul-e-khuda

6 Lashkare khamenaai ke peer-o-jawaan,
yaade shabbir mei sina gham nauha khwaan
Haq ki nusrat ko tayyar hai har-lamha
Al madad Al madad, Ya Rasul-e-khuda
Roza-e-murtaza, khun me dubaa huwa,
de raha hai sada, Ya Rasul-e-khuda
Waaris-e-ambiyaa, qul ke haajat rawaan,
Al madad Al madad, Ya Rasul-e-khuda

7 Beridaai pe zainab pe roti hai jo
baa ridaa pursaa dene ko aati hai jo
Un saro pe rahe taa qayamat ridaa
Al madad Al madad, Ya Rasul-e-khuda
Roza-e-murtaza, khun me dubaa huwa,
de raha hai sada, Ya Rasul-e-khuda
Waaris-e-ambiyaa, qul ke haajat rawaan,
Al madad Al madad, Ya Rasul-e-khuda

8 Woh jo qaamil husseini azadar hai,
baashala nek sirat wafadaar hai
Unke sarpe rahe saayaa-e-sayyada
Al madad Al madad, Ya Rasul-e-khuda
Roza-e-murtaza, khun me dubaa huwa,
de raha hai sada, Ya Rasul-e-khuda
Waaris-e-ambiyaa, qul ke haajat rawaan,
Al madad Al madad, Ya Rasul-e-khuda
(Ya Rasule khuda, Ya Rasule khuda,
Al madad Al madad, Ya Rasule khuda) x2

Ziyarat-e-Ashura, Waritha & 14 Masoomin (A.S)

Ziyarat-e-Ashura

Read more...

Other websites Links

other-websites

Read more...

Nadeem Sarwar & Irfan Haider (Nohay 2007)

Nadeem Sarwar & Irfan Haider (Nohay 2006)

Nadeem Sarwar & Irfan Haider (Nohay 2005)

Nadeem Sarwar & Irfan Haider (Nohay 2004)

Nadeem Sarwar & Irfan Haider (Nohay 2003)

Nadeem Sarwar & Irfan Haider (Nohay 2002)

Nadeem Sarwar & Irfan Haider (Nohay 2001)