By jugun. Friday, May 1, 2009 5:29:20 PM
Lafzon say aag LAgana
phool Khilana
Main janta hon
Harfo'n say mehal banana
sheher sajana
Mujhy bhi atta hay
Fiqro'n Say Jazbay chalkana
Raaz Batana meri dastras may hay
Jazbo'n ko hawa dena Aur sula dene ka
Mujhy Hunar Aata hay
Mager Mujhy
Kachy Mehal Bana kay
Jhooty Sheher Basana
Bin Khushbu Kay phool Khilana
Bin Hiddat kay aag lagana
Kisi kay jazbay Pamal kerna
Mohabatto'n kay Raaz de kar
Mukkar jana
Accha nahi lagta
...

By jugun. Tuesday, March 17, 2009 6:13:40 PM
POETRY.pptKabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta
Kabhi zameen to kabhi aasmaan nahin milta
Dekhiye jise bhi gum hai apne aap main
Zubaan mili hai magar hum-zubaan nahin milta
Bhuja saka hai bhala kaun waqt k shaule ko
Yeh aisi aag hai jisme dhuan nahin milta
Ae rab aisa nahin k tere jahaan main mohabbat nahin
Magar jahaan iski ummeed ho wahan nahin milta
kise ki khatir mohabbet ki intiha kar do....
per itna bhi nahi kay usay Khuda kar do....
mat chaho kise ko tot kar itnay kay....
kay usay apni wafaoun say hi bay wafa kar do