Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hain

Subscribe to RSS feed

EK WOH PAL

[red]
wo ek ek pal
jo bitayen they humne saath-saath
wo hasna-rona,wo ruthna-manana
wo jhagrna baat-be-baat
aur wo khatm hona jhagre ka
palak jhapkne ke saath...
bas gaya hai meri aankhon mein
tah-dar-tah bicha diyen hain dil pe
yaadon ne apni gahri parten

DIL KO CHURAYA TUMNE SANAM

dil ko churaya tumne sanam
paagal banaya tumne sanam
aawargai thi rehbar meri
jeena sikhaya tune sanam
o sanam o sanam
arey tere bina bhi kya jeena hai jeena sanam
dil ko churaya tumne sanam
paagal banaya tumne sanam
aawargai thi rehbar meri
jeena sikhaya tune sanam
o sanam o sanam
arey tere bina bhi kya jeena hai jeena sanam

lab thartharake chup hi rahe
khaamoshiyan bhi hasti rahi
dil ke tarane dil mein rahe
betaabiyaan bas machalti rahi
main ho gaya hoon tera deewana
mujhko deewana karke na jaana jaana
o sanam o sanam
arey tere bina bhi kya jeena hai jeena sanam
o o o
dil ko churaya tumne sanam
paagal banaya tumne sanam

aankhon ka teri ishaara mile
jeene ka kuchh toh sahara mile
betaab dil hai bechain dhadkan
mohabbat mein dil ko kinara mile
ek baar sun le mera fasana
karke bahana dil se na jaana jaana
o sanam o sanam
arey tere bina bhi kya jeena hai jeena sanam

AFSANA BANAKE

afsana banake bhul na jaana
deewana banake durr na jaana
afsana banake bhul na jaana
deewana banake durr na jaana
ishq mera ishq deewana
ishq mera ishq deewana
afsana banake bhul na jaana
deewana banake durr na jaana
afsana banake bhul na jaana
deewana banake durr na jaana

tanha na chhodna kasmein na todna
tanha na chhodna kasmein na todna
ishq mera ishq deewana
afsana banake bhul na jaana
deewana banake durr na jaana

yeh kya huaan hai kaisa nasha hai
chhayi hai dil pe kyon bekhudi
tumse hai kehna vaada hai lena
dhoka na dena humko kabhi
aawara har dhadkan hai bechain mera dil hai
betaabi ka yah aalam samjhana mushkil hai
yeh rishta jodna tanha na chhodna
ishq mera ishq deewana
afsana banake bhul na jaana
deewana banake durr na jaana
afsana banake bhul na jaana
deewana banake durr na jaana

zehar zehar hai kehar kehar hai
teri chaahaton ka hai yeh asar
kyon bheed mein bhi tanhaaiya hai
bechainiya hai aye hamsafar
madhoshi ke lamhe hai
saanson mein toofan hai[/SIZE

EK NAZAR

Ek Nazar Mein Bhi Pyaar Hota Hai, Maine Suna Hai・(2)
Do Baaton Mein Bhi Ikraar Hota Hai, Maine Suna Hai
Sama Rangeen Sa Hone Lagta Hai
Jahaan Haseen Sa Lagne Lagta Hai
Koyi Dil Pe Chhaa Jaaye To Aisa Hota Hai, Maine Suna Hai
Ek Nazar Mein Bhi Pyaar Hota Hai, Maine Suna Hai
Do Baaton Mein Bhi Ikraar Hota Hai, Maine Suna Hai

Chamakte Hain Chehre, Chamakti Hai Duniya
Behekti Hai Saansein Mere Liye

Nazar Se Nazar Jo Mila Loon Agar To
Phirakti Hai Dhadkan Bhi Mere Liye

Nasha Kuch Nigahon Mein Bhi Aisa Hota Hai, Maine Suna Hai
Ek Nazar Mein Bhi Pyaar Hota Hai, Maine Suna Hai
Do Baaton Mein Bhi Ikraar Hota Hai, Maine Suna Hai

Hawa Pe Jahan Dekhne Ko Chale Hain
Bani Badalon Se Hai Apni Zameen

Jo Udne Lage Aasmaan Tak Hai Jaana
Na Khushiyon Mein Apni Hai Koyi Kami

Pasand Kuch Hawaon Ka Bhi Aisa Hota Hai, Maine Suna Hai

Ek Nazar Mein Bhi Pyaar Hota Hai, Maine Suna Hai
Do Baaton Mein Bhi Ikraar Hota Hai, Maine Suna Hai

Sama Rangeen Sa Hone Lagta Hai
Jahaan Haseen Sa Lagne Lagta Hai
[/COLOR[/FONT]][/B]

Kabhi kabhi mere dil mein

Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hain
Ki zindagi teri zulfon ki narm chhaon main guzarne pati
to shadab ho bhi sakti thi.

Yeh ranj-o-gham ki siyahi jo dil pe chhayi hain
Teri nazar ki shuaon main kho bhi sakti thi.

Magar yeh ho na saka aur ab ye aalam hain
Ki tu nahin, tera gham teri justjoo bhi nahin.

Guzar rahi hain kuchh iss tarah zindagi jaise,
isse kisi ke sahare ki aarzoo bhi nahin.

Na koi raah, na manzil, na roshni ka suraag
Bhatak rahin hai andheron main zindagi meri.

Inhi andheron main reh jaoonga kabhi kho kar
Main janta hoon meri hum-nafas, magar yoonhi
Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai.