Zindagi bhar zindagi ki saza milti rahi...
Saturday, April 7, 2007 11:23:35 AM
Zindagi bhar zindagi ki saza milti rahi,
Lamha lamha wafaon ki jaza milti rahi.
Cherd kar jata raha har baar zakhmon ko mere,
Gham ke sholon ko yun hi hawaa milti rahi.
Meri nazron ne hai bakhsha husn ko farogh,
Uske har aaza ko ik adaa milti rahi.
Faasla badta gaya jitna gaya uske qareeb,
Khushk patton ko jaise hawaa milti rahi.
Paththron ki gird takrata raha 'Rahat' ka wajood,
Sukhan goi ka sadaa nayee sadaa milti rahi.

Anonymous # Tuesday, March 24, 2009 4:39:25 PM