Ibaadat
Wednesday, 28. March 2007, 18:03:40
Dil toot bhi jaye to shikayat nahin karte.
Bharosa hain khud par, wahi sawanrega zindagi...
Tumhari tarah dikhawe ki ibadat nahin karte.
Yaad ayi hogi, jab shaam hui hogi...
Kuch pal ko hi sahi tu pareshan hui hogi.
Yaad ayi hogi jab mere pyaar ki baatein...
Nazarein jhuka kare tu pareshan hui hogi.
Meri aashiqui dard ki kahani ban gayi...
Aur zindagi gum ki nishani ban gayi.
Main tere pyaar mein itna badnaam hua hoon...
Ki ruswai ki pehchaan yeh jawaani ho gayi.
Toot kar reh gaya woh rishta ulfat ka...
Main nishaana ban gaya jahaan ki nafrat ka.
Mere saamne zikr wafaon ka naa kar dost...
Main thukraya hua hoon isi pyaar aur mohabbat ka.
Har ek simt andhera hain, raahein hain anjaan...
Sooni har pagdandi hain, manjil bhi hain veeran.
Tanha tanha chalta hoon, rota aur sisakta hoon...
Har dhadkan sooni hain, saans saans sunsaan.
Rishta ulfat ka yun nibhaya jaata hain...
Ashk peekar bhi muskaraya jata hain.
Aisa bhi modh aata hain mohabbat mein...
Kisi ke khaatir khud ko mitaaya jaata hain.
Ruswa is tarah naa yeh kahaani hoti...
Baat agar tumne humaari maani hoti.
Sapne bhi hote poore, zindagi bhi saj jaati...
Tere hontho par agar wafa ki kahaani hoti.
Wafaa fareb hain, aur chaahat ek dhokha...
Khudgarzi ke daur mein kaun kisi ka hota.
Kis dost par bharosa hum kare...
Choora ghop deta hain, milta jab use mauka.









How to use Quote function: