KUCH KEH NAHI SAKTA!
Friday, February 8, 2008 9:27:12 PM
Be nam musafir hoon,
be nam safar mera
Kis rah nikal jaon, kuch keh nahi sakta.
Benam meri manzil benam thikana hai,
kis dar pay mein ruk jaon,
kuch keh nahi sakta.
Iss paar to roshan ha sara mera rasta,
us paar andhera ho,
Kuch keh nahi sakta.
Tinkay ki tarah mein bhi beh jaon samandar mein,
mil jay ga kinara,
kuch keh nahi sakta.
Mil jay gi tabeer mery khawaboon ki aik din,
YA KHAWAB BIKHAR JAEEN,
KUCH KEH NAHI SAKTA!
be nam safar mera
Kis rah nikal jaon, kuch keh nahi sakta.
Benam meri manzil benam thikana hai,
kis dar pay mein ruk jaon,
kuch keh nahi sakta.
Iss paar to roshan ha sara mera rasta,
us paar andhera ho,
Kuch keh nahi sakta.
Tinkay ki tarah mein bhi beh jaon samandar mein,
mil jay ga kinara,
kuch keh nahi sakta.
Mil jay gi tabeer mery khawaboon ki aik din,
YA KHAWAB BIKHAR JAEEN,
KUCH KEH NAHI SAKTA!












