vo ajnabi ajnabi se chehray, vo khawab khaimay rawa'n dawa'n se
Sunday, June 1, 2008 10:08:40 AM
vo ajnabi ajnabi se chehray, vo khawab khaimay rawa'n dawa'n se
basy hoye hai ab bhi nazar mein, sabhi manazir dhuwa'n dhuwa'n se
ye aks-e-dagh-e-shikast-e-paymaa'n, vo rang-e-zakhm-e-khulos-e-yaraa'n
mein ghamgusaaroo'n mein sochta hun, k baat chheeroon kahan kahan se
ye sangraizy adaawaton ke, vo aabgenay sakhawaton ke....!!
Dil-e-musafir qabool ker le, mila hai jo kuch jahan jahan se
bichharnay wala bichhar chala tha to nisbatay bhi ganwa k jata
tery liye shehr bhar se ab bhi mein zakhm khaaon zuba'n zuba'n se
meri muhabbat ke wehmoon se paray tha tera wajood warna...!!
jaha jaha tera aks thera, mein ho ke aya waha'n waha'n se
tu hamsafar hai na hamnafas hai, kisai khabar hai k tu kidhar hain
mein dastakain de k poch bheta makee'n makee'n se, maka'n maka'n se
abhi muhabbat ka ism-e-azam labo pe rehny de jan-e-MOHSIN
abhi hai chahat nayi nayi si, abhi hai jazbay jawa'n jawa'n se
(MOHSIN NAQVI)