My Opera is closing 1st of March

MÖHÄBBÅT

Jaha se ekhtiyar ki had khatam hoti hain......waha se muhabbat ki had shoro hojati he.

Subscribe to RSS feed

Usey mein bhool jana chahta hoon

Usey mein bhool jana chahta hoon
Suno! mein muskurana chahta hoon
Dukhi rehny ki adat hogayi hai
Magar ab gungunana chahta hoon
Puraney sab taaluq tor ker ab
Nayi duniya basana chahta hoon
Vo nazmain paaon se lipti hain lakin
Mein un se jaan churana chahta hoon
Vo sab tohfey vo sukhy phool sarey
Mein ab un ko jalana chahta hoon
Mein utna paas ata hu tumharey
Mein jitna door jana chahta hoon
Mery hamdam, haqeeqat hai ye meri
Mein tery paas ana chahta hoon
Ubharny ki koi khawhish nahi hai
k ab mein doob jana chahta hoon