My Opera is closing 1st of March

MÖHÄBBÅT

Jaha se ekhtiyar ki had khatam hoti hain......waha se muhabbat ki had shoro hojati he.

Subscribe to RSS feed

Tamam shab yunhi daikhain gi soy-e-dar aankhian

,

Tamam shab yunhi daikhain gi soy-e-dar aankhian
Tujhe ganwa k soyengi umar bhar aankhain

Tulu-e-subah se pehle hi bujh na jaye'n kahi'n
Ye dasht-e-shab mein sitaaroo'n ki hamsafar aankain

Sitam ye kam to nahi dil giraftagi kiliye
Mein shehr bhar mein akela, edhar udhar aankhain

Shumar us ki sakhawat ka kia kery k vo shakhs
Charagh bant'ta phirta hai ch'heen ker aankhain

Vo paas tha to zamaney ko dekhti hi na thi'n
Bich'har gia to hui phir se dar ba-dar aankhain

Mein apne aashk bachaonga kis tarah MOHSIN
Zamana sang-e-bakaf hai to shishagar aankhain