Jang aur Aman!
Wednesday, September 9, 2009 5:20:30 PM
By my room mate Kifayat.
sard raat ke pech'hle pehr
har taraf tariki hai
sannata hai khamoshi hai
aur mein kamry ke ek kone mein
sihma sihma betha hu'n
aankhoo'n mein intezar liye
buht saare sapne liye
sochta rehta hu'n
kitne bache honge jin ke saroo'n par
chat nahi hogi
aur urrhne kiliye kambal nahi hoga
jalane kiliye lakrri nahi hogi
dusri taraf, missile aur tank
aag barsa to rahe hein
Lakin!
ye to tapish nahi deti
ye to jala deti hai
zinda insaano'n ko
gira deti hai
biland emaratoo'n ko
mita deti hai
barre barre shehroo'n ko
badal dalti hai
duniya ke naqshe ko
ye aag barsane wale bhi to insaan honge
kia vo kabhi sochte honge
is aag se tapish to bhi di jaskti hai
tabahi ki jaga
lakin vo kiyo soche
un ke bache to garam bistar pe so rahe honge
sapne dekh rahe honge
subah uth ke garam paani hoga
phir nashta hoga
phir kitab aur qalam hogi
Lakin!
us gharib bache ka baap
kiyo'n nahi sochta
k mera bacha kanp kiyo'n raha hai
itni sardi kiyo'n lagrahi hai
piyasa kiyo'n hai?
bhuka kiyo'n hai?
nanga kiyo'n hai?
aakhir kab tak is haal mein rahe ga
ghulami ke jaal mein rahe ga
apni qisamt ke faisle kab kerega
kabhi kabhi to sochta hoga
ha! zarur sochta hoga
lakin kuch kerta kiyo'n nahi?
shaid, is liye k
vo khud bhi kamp raha hai
sardi usay bhi lag rahi hai
bhuka vo bhi hai
nanga vo bhi hai
phir kuch kerta kiyo'n nahi?
Lakin!
iska koi bacha bhi to hoga
bhai to bhi hoga
parosi to bhi hoga
jo jawan hoga
jo soch sakta hai
jo sochta hai vo ker sakta hai
Haa'n!
usay sochna hoga
jo sochay ga vo kerna hoga
us zalim se taqat chhenna hogi
jo aag barsate hein
jo jala deta hai
jo gira deta hai
jo mita deta hai
nahi to!
ye zalim aakhiri newala bhi chhen lega
sans bhi chhen lega
khun pe lega
qaum ka nishan mita dega
phir!
muaarikh qalam uthaye ga
ek taraf be-hisi
aur
dusri taraf bahaduri
lambi chauri kahani hogi
lambe lambe auraaq honge
na khatam hone wali siyaahi hogi
muaarikh lekhta rahe ga
aur yahi hamarai kahani hogi.
(Kifayatullah. 2: 45 am, 25th December, 2008)
sard raat ke pech'hle pehr
har taraf tariki hai
sannata hai khamoshi hai
aur mein kamry ke ek kone mein
sihma sihma betha hu'n
aankhoo'n mein intezar liye
buht saare sapne liye
sochta rehta hu'n
kitne bache honge jin ke saroo'n par
chat nahi hogi
aur urrhne kiliye kambal nahi hoga
jalane kiliye lakrri nahi hogi
dusri taraf, missile aur tank
aag barsa to rahe hein
Lakin!
ye to tapish nahi deti
ye to jala deti hai
zinda insaano'n ko
gira deti hai
biland emaratoo'n ko
mita deti hai
barre barre shehroo'n ko
badal dalti hai
duniya ke naqshe ko
ye aag barsane wale bhi to insaan honge
kia vo kabhi sochte honge
is aag se tapish to bhi di jaskti hai
tabahi ki jaga
lakin vo kiyo soche
un ke bache to garam bistar pe so rahe honge
sapne dekh rahe honge
subah uth ke garam paani hoga
phir nashta hoga
phir kitab aur qalam hogi
Lakin!
us gharib bache ka baap
kiyo'n nahi sochta
k mera bacha kanp kiyo'n raha hai
itni sardi kiyo'n lagrahi hai
piyasa kiyo'n hai?
bhuka kiyo'n hai?
nanga kiyo'n hai?
aakhir kab tak is haal mein rahe ga
ghulami ke jaal mein rahe ga
apni qisamt ke faisle kab kerega
kabhi kabhi to sochta hoga
ha! zarur sochta hoga
lakin kuch kerta kiyo'n nahi?
shaid, is liye k
vo khud bhi kamp raha hai
sardi usay bhi lag rahi hai
bhuka vo bhi hai
nanga vo bhi hai
phir kuch kerta kiyo'n nahi?
Lakin!
iska koi bacha bhi to hoga
bhai to bhi hoga
parosi to bhi hoga
jo jawan hoga
jo soch sakta hai
jo sochta hai vo ker sakta hai
Haa'n!
usay sochna hoga
jo sochay ga vo kerna hoga
us zalim se taqat chhenna hogi
jo aag barsate hein
jo jala deta hai
jo gira deta hai
jo mita deta hai
nahi to!
ye zalim aakhiri newala bhi chhen lega
sans bhi chhen lega
khun pe lega
qaum ka nishan mita dega
phir!
muaarikh qalam uthaye ga
ek taraf be-hisi
aur
dusri taraf bahaduri
lambi chauri kahani hogi
lambe lambe auraaq honge
na khatam hone wali siyaahi hogi
muaarikh lekhta rahe ga
aur yahi hamarai kahani hogi.
(Kifayatullah. 2: 45 am, 25th December, 2008)












