My Opera is closing 1st of March

MÖHÄBBÅT

Jaha se ekhtiyar ki had khatam hoti hain......waha se muhabbat ki had shoro hojati he.

Subscribe to RSS feed

Wussat-e-dasht-e-hijar dekh K dar jata hun

Wussat-e-dasht-e-hijar dekh K dar jata hun

Tujh se aagey ka safar dekh K dar jata hun

Roz dhaltey huey suraj ki tarhaan sham gaye

Mein bhi ek dard k darya mein utar jata hun

Vo bhi chup chup sa kahin baith k rota hoga

Mein bhi raaton ko zaraa dair se ghar jata hun

Mein ne bhi jurm-e-baghawat k sitam jheely hain

Mein bhi ab log jidhar jayen udhar jata hun

Chal para hun mein zamaney k asoolon pe
"MOHSIN"

Mein bhi ab apni hi baaton se mukar jata hun