Saturday, 7. March 2009, 09:50:08
shor, arshad, panaah
Mar mitenge tumpe hum bhi, Parwano ki tarah...
Shart ye hai ki Chaho humein, Deewano ki tarah...
Shor aata hai jane kahan se...
Goojti hain dil mein aawazein, veerano ki tarah...
Sunte hain haal, unka ab duniya se...
Thahrte hain kabhi aur chalte hain fakeeron ki tarah...
Meri aah par doob jate the jo ashkon mein kabhi...
Milte hain raahon mein aaj wo begaano ki tarah...
Gire to hum bhi bahut, teri chukhat pe khuda...
Armaan the, ya phir uthe hum pashemano ki tarah...
tera aasra hai ab tu hi sambhal ke rakh lena...
darkaar-e-do Ghaz zameen hai panahon ki tarah...
Friday, 29. February 2008, 08:57:11
umeed, arshad, tasveer
Apne Dil ko kuch yun bhi saja kar rakhna...
Bejaan deewaron pe teri tasveer laga kar rakhna...
Shab-e-dard ki inteha ab aur nahi koi...
Subah hone ko hai ye umeed bana kar rakhna...
Kabhi maile to baant loonga ashq aankhon ke...
Ye moti apni palkon mein chupa kar rakhna...
Zaroorat hogi teri moujoodgi ki mujhe...
alvida kehne ko kuch waqt bacha karne...
Na tadpa sake mujhe tanhai-e-safar...
meri maiyat pe uski tasveer laga kar rakhna...
...Arshad jawed
Wednesday, 30. January 2008, 05:01:19
arshad, poem, aaj bhi, romantic
...
Sulagta hua barsaat mein...
Yaadon ki shamma jalaye...
Dhoondhta hoon tumhe...
Dar-ba-dar aaj bhi...
Todti hai ahista ahista...
Bereham saanson ki chot...
Dil ke khandhar se magar...
Aati hai teri sadaa aaj bhi...
Samo ke tera dard saara...
Band kar leta hoon palkein...
Dubaa deta hoon seene mein...
Aankhon ka samandar aaj bhi...
Khushiyon mein ho tera jahan...
Apni rab se yehi iltija...
Jab hui tujhse koi khata...
Dua mein apne liye saza maangi hai aaj bhi...
...Arshad jawed
Thursday, 21. June 2007, 06:22:34
sannate, arshad, suna hai
Khatam hone ko hai, dard-e-safar suna hai...
Utho sone waalon, aane ko hai nayi saher suna hai...
Unki tabinda aankhon mein Kya tha kya pata...
Zamane ko ise meri muhabbat kehte suna hai...
Jeene ki umeed na chhod nafrat bahi hawaon mein...
Ba-hayat hai abhi ek Khuloos-e-Shajar suna hai...
Na rahe wo hum, na rahe wo halat, par aaj bhi...
Dil ke sannate mein pukaarta hai koi tera naam...
suna hai...